Pooch Lo TuM Bhi Is ZaMane Se,
Pyaar Chhupta Nahi Chhupane Se,
Paas Aate Ho Chhute Ho Baat Karte Ho,
Pyaar Dil Mein Hai To Laao Zuban Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se,
TuMhe Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se TuMhe Ganwane Se,
Chalo Ek Dua To Apni Puri Hui,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se,
Roye Jaate Ho Bas Roye Jaate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane Se...
--------------------------------------------------------
Seena Dehek Raha Hai To Kya Chup Rahe Koi,
Kyon Cheekh Cheekh Kar Na Gala Cheel Le Koi,
Saabit Hua Sukoon-E-Dil-O-Jaan Kahin Nahi,
Rishton Mein Dhundta Hai To Dhunda Kare Koi,
Haan Thik Hai Main Apni Ana Ka Mareez Hoon,
Aakhir Mere Mizaaj Mein Kyon Dakhal De Koi...
------------------------------------------------------------
Tark-E-Mohabbat Par Bhi Hogi Unko NidaMat HuMse Zyada,
Kisne Ki Hai Kaun Karega Unse Mohabbat HuMse Zyada,
HuMne Maana Aap Mein Hogi Sabr Ki TaaQat HuMse Zyada,
Dekhiye Lekin Utri Hui Hai Aapki Surat HuMse Zyada,
Uff Wo TabassuM Halka Halka Haaye Wo Bhigi Bhigi Palkein,
WaQt-E-Rukhsat Upnpe Giraan Tha LaMha-E-Rukhsat HuMse Zyada,
Koi TaManna Koi Masarrat Dilke Kareeb Aane Hi Na Di,
Kisne Ki Hai IshQ Mein Yaaron GaM Se Mohabbat HuMse Zyada...
-----------------------------------------------------------------------------------
Raat Bhar Tanha Raha Din Bhar Akela Main Hi Tha,
Sheher Ki Aabadiyon Mein Apne Jaisa Main Hi Tha,
Main Hi Dariya, Main Hi Toofan, Main Hi Tha Har Mauj Bhi,
Main Hi Khud Ko Pi Gaya Sadiyon Se Pyaasa Main Hi Tha,
Kis Liye Katra Ke Jaata Hai Musafir DaM To Le,
Aaj Sukha Ped Hoon Kal Tera Saya Main Hi Tha,
Meri Dhadkan Sunnewala Dil Na Tha Duniya Ke Paas,
Sab Ki Aahat, Sabki Dhadkan Sunnewala Main Hi Tha,
Kitne Jazbon Ki Nirali Khusbuyein Thi Mere Paas,
Koi Unko Chahne Wala Nahi Tha Main Hi Tha...
---------------------------------------------------------------
Teri Hi Tarah HaMein Yaad Aane Wala Ho,
Tere Siwa Bhi Koi To Satane Wala Ho,
Har Ek Subah Yahi Dil Mein Hook Uthti Hai,
HaMein Bhi Naaz Se Koi Jagane Wala Ho,
Wo Kis UMMid Mein Ghar Mein Rakhein Ke Jis Ghar Mein,
Na Aane Wala Ho Na Koi Jaane Wala Ho,
Har Ek Se Nazrein Milayi Hai Unke Kuche Mein,
Ki Jaise Ab Koi HuM Ko Bulane Wala Ho,
Hai Dosto Ke Liye Aayina Nazar Meri,
Nazar Milaye Jo Nazrein Milane Wala Ho,
Ke Jaise Koi Bala Mujhpe Aane Wali Hai,
Haraas Kehta Hai Koi Bachane Wala Ho,
HaMare Shaher Mein Kya Kya Saje Sajaye Hai Ghar,
HaMare Ghar Ko Bhi Koi Sajane Wala Ho...
------------------------------------------------------------
"Kaha Tha Na"
kaha tha na
is tarah sotay huye mat chor k jana
mujhe besha jagga dena
bata dena
muhabbat k safar mein sath meray chal nahi sakten
judai k safar mein sath meray chal nahi sakten
tumhain rasta badalna hai
mere had se nikalna hai
tumhain kis baat ka dar tha
tumhain jane nahi deta
kahen pe qaid kar leta
aray pagli muhabat ki tabiet mein zabardasti nahi hoti
jisay rasta badalna ho usay rasta badalnay se
jisay had se nikalna ho usay had se nikalnay se
na koi rok paya hai
na koi rok paye ga
tumhain kis baat ka dar tha
mujhe beshak jagga detay
main tum ko dekh hi leta
tumhain koi dua deta
kam az kam yun to na hota, mere sathi haqeeqat hai
tumharay baad khonay k liye kuch bhi nahi baqi
magar khonay se darat hoon
main ab sonay se darta hoon
---------------------------------------------------------------------------
Kabhi To Mere Bhi Khwaab Pure Honge,
Kabhi To Mujhe Bhi Laakhon Pyar Karne Wale Honge,
Ye Khwaab NaMuMkin Hi Sahi,
Par Dil Mein Ek UMMid Hai Ye Khwab Kabhi To Pure Honge,
Ho Aaj Palat Kar Bhi Nahi Dekhta,
Kabhi To Wo Bhi Mujhe Dekhenge,
Jo Mujhse Baat Karna Bhi Pasand Nahi Karte,
Kabhi To Wo Bhi Mujhse Baat Karenge,
Jo Mujhse Nafrat Karte Hai,
Kabhi To Wo Bhi Mujhse Pyaar Karenge,
Jo Mujhpar Bharosa Nahi Karte,
Kabhi To Wo Bhi Mujhpar Bharosa Karenge,
Jo Mujhe Gareeb SaMajh Kar Thukra Gaye,
Kabhi To Wo Mujhe Dobara Apnayenge,
Dil Kehta Hai,
Kabhi To Mere Khwaab Pure Honge,
Ab To Dil Toot Sa Gaya Hai,
Ab To Lagta Hai HuMko Marne Ke Baad Kafan Bhi Naseeb Na Honge,
Socha Na Tha,
Mujhe Itna Nafrat Karne Wale Log Honge,
YaQeen Hi Nahi Aata,
Mujhe Hazaron Log Baddua Denewale Honge,
Jo Socha Bhi Na Tha,
Wo Gunaah Honge,
Mujh Jaise Gunehgaar Ko Bhi,
Kabhi To Khushiya Naseeb Hogi,
Jo Naraz Hogaye,
Kabhi Wo Apni Naarazgi KhataM Karenge,
Jo Mujhe Chhod Gaye Tanha,
Kabhi To Wo Laut Kar Aayenge,
Aye Dost Itna Bura Bhi Nahi,
Bas TuM HuM Ko SaMajh Na Sakoge...
----------------------------------------------------
Chehre Pe Khushi Chha Jaati Hai, Aankhon Mein Suroor Aa Jaata Hai, Jab TuM Mujhe Apna Kehte HoApne Pe Guroor Aa Jaata Hai,
Jeene Ka Shaoor Aa Jaata Hai...
--------------------------------------------------------------------------------
Jab Chand TuMse Sawal Kare,
TuM Nazrein Usse Chura Lena,
Aur ShaaM Apni Baahon Mein Le,
To Aankh Mein NaMi Ko Chhupa Lena,
Jab Yaadein TuMko Tadpaye,
TuM Yaadon Ka Diya Bujha Dena,
Jab Mohabbat TuMse Apnapan Maange,
Khwahishon Se Apna DaaMan Chhuda Lena,
Jab Kuch Bhi TuM Na Kar Pao,
Bas Ek KaaM Kar Dena,
TuM Mujhko Bhula Dena,
Haan TuM Sirf Mujhko Bhula Dena...
------------------------------------------------------------
Main TuMko Bahut Aane Lagun Jab Yaad, Chale Aana,
Bhool Jaana Apni Kahi Har Baat, Chale Aana,
Judayi Ka Wo LaMha Aur Wo Manzar Dhalte Sooraj Ka,
Yaad TuMko Jab Aane Lage Wo ShaaM, Chale Aana,
Bhool Jao TuM Agar Manzil Kabhi Apni,
Uthana Apne QadaM Phir Meri Taraf, Chale Aana,
Had Se Guzar Jaye Jab Mera Zabt-E-GhuM,
Aur Main Pukarun TuMko Baar Baar, Chale Aana,
TuMhare Bin Jeene Ka Ab Tasavvur Nahi Dost,
Meri Maut Ka Gar TuMko Mile PayaaM, Chale Aana...
------------------------------------------------------------------------