Mout ki aghosh main jab thak k so jati hai MAA
Tab kaheen ja kar thora sa sakoon pati hai MAA
Rooh k rishton ki ye gheraiyan tu dekhiye
Chot lagti hai hamey or chillati hai MAA
Pyar kehty hain kisay or Mamta kiya chez hai
Koi un bachon se pochiye jin ki mar jati hai MAA
Zindagani k safar main gardishon ki dhoop main
Jab koi saya nahi milta tu yaad ati hai MAA
Kab zaroorat ho mery bachy ko
Jagti rehti hain Ankhain or so jati hai MAA
Bhook se majboor ho kar mehman k samny
Mangtay hain bachy jab roti tu sharmati hai MAA
Jab khilonay ko machalta hai koi ghurbat ka phool
Ansoun k saaz par bachay ko behlati hai MAA
Lot kar wapas safar se jab bhi ghar atay hain hum
daal kar bahain galy main sar ko sehlati hai MAA
Aysa lagta hai jesay agaye Firdous main
Khench kar bahon main jab seenay se liptati hai MAA
Der ho jati hai ghar anay main aksar jab kabhi
Rait par machli ho jesy.. aysy ghabrati hai MAA
Shukar ho he nahi sakta us ka ada
Marty marty bhi dua jeenay ki day jati hai MAA.............