Saturday, 19 November 2011

Bradford Jaana Hai Ya Phir London



















Ek larkay ki mangni hui thi,
larka Dadyal ka tha aur larki Bradford ki,
larkay ka naam Salman tha aur larki ka naam Sonia.


Salman ne socha mera kaam to pakka ho gaya hai,
Sonia jaisi British larki ke saath rishta fix,
roz roz woh phone karti hai,
subah shaam mujhey yaad karti hai.


Ek din Salman ne Facebook pe kisi larki se gap shap shuru ki,
larki London ki thi aur us ka naam Reema tha....


Baaton baaton main larki ne Salman se kaha ke mujhay
shaadi karni hai aur main ek achay larkay ki talaash main hoon
Salman ne apna number diya aur kaha main tumhari madat karoonga.


Reema ne phone kiya aur Salman ko us ki awaaz pyaari lagi,
phir Reema ne photo send kiye,
Kuch hafton baad Salman ne socha yeh larki to kamaal hai,
main is ke saath shaadi kar leyta hoon,
waisay bhi Bradford main sarddi zyada hoti hai,
aur London aakhir capital city hai,
aur Reema to Sonia se bhi zyada khoobsurat lagti hai.


Salman bahadur tha aur us ne apni mangetar Sonia ko phone kiya,
aur sab kuch bataa diya,
Sonia ne gussay main kaha ke ab woh samajh gayi hai Salman ko,
aur woh rishta torrnay ke liye tayyar hai.


Salman khush hua ke kaam asaani se ho gaya,
Phir Salman ne Reema ko phone kiya, message send kiye,
lekin koi jawaab naa mila us ko.


Salman ne socha yeh kya hua, Reema kahan kho gayi.
Phir ek din Reema ne message kiya,
Main Sonia hoon aur maine Reema ka fake account banaya
tumhari asliyat ko jaanay ke liye, phone pe meri saheli thi aur
photo kisi aur ke thay.


Salman heyraan reh gaya aur us din us ne Facebook chor di.


 
Design by Wordpress Theme | Bloggerized by Free Blogger Templates | coupon codes