Wednesday, 21 December 2011

Short Poem about Dadyal





Dadyal mujh main hai chahay main Dadyal main hoon ya nahin,



unn galiyon main dharaktay dil mere dil se jurray huay hain,


saath samundar paar ya phir saath hazaar samundar paar,


woh log mere apnay hi hain jaisay main unn ka apna hoon...


Kehtay hain woh ke mere passport ka rang alag hai,


kehta hoon main ke dil se nikalta hai jo khoon us ka rang to dekho,


apnay shaher ko maine dekha hai...


khamoshi main, shor main, baarishon main,


toofanon main, hastay huay rotay huay dekha hai.....


Poori zindagi to nahin lekin chand lamhay to guzaray hain....


Dadyal ki awaaz sun raha hoon main....


aisa lagta hai ke koi apna mujhe pukaar raha hai....


Yeh awaaz ek pooray shaher ki hai.....


Kisi ek insaan ki to nahin....


Shaher kehta hai ke har kisi ko apna maano...


Chahay ameer ho ya gareeb......


tum jaisa ho ya alag....


paraya ho ya apna.....


door ho ya kareeb ho...


kyun kho gaye hain log choti choti baaton main...


yeh zameen keh rahi hai ke mere liye jiyo....


mere liye marro nahin....


marr ke to mere neechay hi aana hai....


upar ho to achay kaamon main zorr lagatay raho...


Dadyal main koi chota bara naa ho...


tab jaa ke yeh Dadyal ban jayega...


Sameer

 
Design by Wordpress Theme | Bloggerized by Free Blogger Templates | coupon codes