Aisa kyun hota hai ke burrai itni aam ho jaati hai ke log us ko acha samajh leytay hain aur us ke galat honay pe sawaal bhi karnay lagtay hain.
Ek banda shuru karta hai, doosra picha chal parta hai, phir aur log bhi burray kaamon main lag jaatay hain, aisay main har koi burrai main shaamil ho jaata hai...
Sachai to yeh hai, ke agar saari duniya ke log ek saath mil kar bhi kisi galat kaam ko kartay hain, to woh phir bhi galat hi rahega, sahi nahin ho jaata.
Hum apnay armanon ke pichay jitna chaahay bhaag leyn, lekin aakhir main hum bhaagtay hi reh jaayenge....Lakhon croroan jhoot sach ko chupa nahin saktay, khud ko tasalli deynay se koi galat kaam acha nahin ho jaata...
Hum yeh bhool jaatay hain ke dhoka to hum usi ko de rahay hain jisay hum aainay main dekhtay hain.
Humain seekhna hoga, apnay aap se sawal karnay hongay, khwahishon ke ghulam naa bano, samaaj ke ghulam naa bano. Apnay andar se nikalo us behtreen insaan ko jo aap ban saktay hain, khwahishon ke samundar main dhoob naa jao, khud ko dhoka naa do, galat raastay pe chal kar yeh mat socho ke sab teek ho jayega.
Aankhein kholo, aur dekho kya sahi hai, kya galat hai, kya acha hai, kya burra hai, kis cheez se bachna hai, zindagi aap ki hai, aap ko is ki hifazat karni hogi.
Main kabhi kabhi sochta hoon, ke log doosron ke peechay aisay hi chal partay hain, yeh bhi nahin sochtay ke kahan jaa rahay hain, hum bhaag rahay hain lekin yeh nahin pata ke manzil kya hai.
Sameer Hussain - Admin Dadyal Online